
आगे...
बनारस हिंदू विश्वविद्यालय — खाली क्लासरूम


आगे...
बनारस हिंदू विश्वविद्यालय — खाली क्लासरूम

“I want support in resolving my issue as soon as possible. Please check my account and help me with a proper solution.”
Write a comment ...


Saanvi Aryavanshi — naam narm hai, par uski rooh pathar ban chuki hai. Apno ko khone ke baad usne sirf aansu nahi, apni masoomiyat bhi dafn kar di. Ab uski aankhon mein dard nahi dikhta… sirf discipline, silence, aur control ke peeche jalta hua ek thehra hua gussa. Phir uski zindagi takraati hai chaar naamon se — Mihir. Reyansh. Vihaan. Kairav. Power unke liye privilege nahi, haq hai. Dominance unki language hai. Aur emotions? Ek luxury jo woh afford nahi karte. Log unhe devils kehte hain… aur woh is naam ko deny bhi nahi karte. Jab Saanvi unki duniya mein kadam rakhti hai, toh sirf nazrein nahi takrati — strategies clash hoti hain. Egos bhadakte hain. Secrets surface par aane lagte hain. Aur attraction… ek weapon ban jaata hai. Lekin asli game ab shuru hota hai. Kya woh chaaron milkar Saanvi ko tod denge? Ya phir woh hi un sabki sabse badi galti… aur sabse khatarnak nightmare sabit hogi?



Bindass Aavya Sangwan aur Mumbai ke ruthless gangster Rudraksha Shekhawat ki duniya tab टकराती है, jab Aavya ki innocence aur attitude se sirf hero nahi, uski fiancée aur puri family tak obsessed ho jaati hai. Jab mastikhor ladki aur high-class ka cold businessman aur gangster आमने-सामने आते हैं, tab romance aur tashan bhari kahani shuru hoti hai — jahaan pyaar aur obsession ke saath dono ki zindagi badal jaati hai.



Sisodiya aur Purohit — Do aise parivaar jinke naam duniya ke sabse ameer aur taqatwar gharano mein gine jaate hain. World rankings, business empires aur political influence — in dono ka naam hamesha rehnuma raha hai. Lekin inki shaan ke peeche chhupi hai saalon purani dushmani, jo naslon se khoon aur nafrat ke saath zinda rahi hai. Kismat tab apna khel khelti hai jab ek aisi majboori saamne aati hai, jahan na chahte hue bhi in dono dushman parivaaro ko ek rishta jodna padta hai — ek aisa rishta jo sirf shanti ka dhong hai, aur asal mein ek samjhauta. Is majboori ke rishte ki keemat sirf naam ya izzat nahi hoti… balki do logon ki zindagi aur unki qurbani hoti hai. Sawal sirf itna nahi ki ye rishta tik paayega ya toot jaayega — Sawal ye hai ki kya nafrat ke beech bandha hua rishta apna rang laa paayega, ya phir ye qurbani sirf ek aur kahani ban kar reh jaayegi?



Shiddat Rathore ek simple, self-contained aur ambivert ladki hai. Middle-class background, seedhi zindagi aur ek aisi khubsurti jo shor nahi machati… bas dheere se dil aur dimaag par asar chhod jaati hai. Phir uski zindagi mein aate hain do naam — Arjun Kanwar aur Viyaan Kanwar. Shautele bhai… lekin ek doosre ke sabse bade dushman. Arjun Kanwar — arrogant, impulsive aur reckless. Uske liye life ek game hai, jahan har cheez jeetne ke liye hoti hai. Jab uski nazar Shiddat par padti hai, woh use ek ladki nahi… ek challenge samajhta hai. Aur phir hai Viyaan Kanwar — cold, calculative aur dangerously intelligent. Ek powerful businessman jiske liye emotions sirf weakness hain aur control hi sab kuch. Uski har chaal sochi-samjhi hoti hai… aur har game ka ek hidden motive. Jab ego, revenge aur attraction ek hi kahaani ka hissa ban jaate hain, tab decisions dil se nahi… zid se liye jaate hain. Aur ek galat zid… baat ko us mod tak le jaati hai jahan ek shaadi teen zindagiyon ka rukh hamesha ke liye badal deti hai. Par iss kahaani mein pyaar seedha nahi hai. Yahan emotions sach hain… par intentions dangerous. Kyunki kabhi-kabhi possessiveness pyaar nahi hota… woh gunaah ban jaata hai. ✦ A story of power, obsession, revenge… and a love that was never meant to be simple.

Write a comment ...